Tweeter

Monday, April 13, 2009

Cheekh Utth-ti Hain

Sada Maflooj Hai Kab Say, Duaein Cheekh Utth-ti Hain
Luti Ismat Ke Laashey Par, Hayaein Cheekh Utth-ti Hain

Hisaar-E-Zulm Say Jab Be-basi Ke Bain Utth-tey Hain
Takhayul Tharrthrrata Hai, Khataein Cheekh Utth-ti Hain

Mairey Sultan Teri Chokhat Pay Faryadein Mujasam Hain
Ye Ghao Kitney Gehrey Hain, Dawaein Cheekh Utth-ti Hain

Kahan, Insaniyat, Tehzeeb Aur Insaaf Ke Daai
Mushiyat Be-bharam, Wahshat Saraein Cheekh Utth-ti Hain

Adam Say Kheech Kar Laya Tha Jis Ko Kun Ka Aawaaza
Ye Doraan Larrkhrraati Hai, Fanaein Cheekh Utth-ti Hain

Aman Ke Ghalghaley Mein Harf Masloob-E-Mu'ani Hai
Sisakti Hai Jo Dharrkan To, Ghinaein Cheekh Utth-ti Hain

Yehi Behtar Tha, Beti Paida Hotey Dafan Kar Detey
Koi Majboor Kehta Hai To Maaein Cheekh Utth-ti Hain

Falak Ki Be-hisi Hay Laal Aandhi Abb Nahin Aati
Shafaq Jab Surkh Hoti Hai, Hawaein Cheekh Utth-ti Hain

Khandar Ye Girney Waaley Hain, Nishaan Ye Mitney Waaley Hain
Koi Katbon Ko Parrhta Hai, Ghupaein Cheekh Utth-ti Hain

Jahan Qanoon Andha, Zar Ki Laatthi Thaam Chalta Ho
Wahan Jo Adl Hota Hai, Sazaein Cheekh Utth-ti Hain

Bujh Chukey Aatish Fishaan Ghairat Ke Seeney Mein
Ye Dharti Baanjh Banjar Hai, Wafaein Cheekh Utth-ti Hain

No comments: