Abhi kuch bhi nahi badla
Darakhtoon per wohi mausam abhi tuk muskaratey hain
Abhi tuk surmaii shaamien hamarey saath roti hain
Abhi tuk meri aankhoon main tumharey khuaab hunstey hain
Abhi tuk meray haathoon per tumhari ungaliyoN ki naram porooN se likhey sub harf zinda hain
Abhi tuk meray seeney main tumhari saans chalti hai
Abhi tou raastoon per doodhiyaa pairoon se parney waley
Saarey naqsh qaaiem hain
Abhi almaariyon main saarey tuhfey gungunaatey hain
Tumharey khut abhi bhi raat ki tanhaaii main mujh se
Tumhari baat kertay hain
Bohat se saal guzrey hain, bohat sa waqt beeta hai
Meri chahat nahi beeti, meri himmat nahi guzri
Abhi kuch bhi nahi badla, abhi kuch bhi nahi badla
Ager chaho, ager samjho, meri maano
Tou lout aao!
No comments:
Post a Comment