Ab dekh ke Jee ghabrata hai, Sawan ki suhani raton ko
Piya chorh gaye, dil torh gaye, Ab aag lage barsaton ko
Ae jan e muhabat, jan e ghazal, Aao to tumhari nazar karein
Ankhon mein sajaye bethe hain hum pyar bhari soghaton ko
Yoon pyar ki qasmein kha kha kar kyun jhooti tasali dete ho?
Bas rehne do hum jaan gaye sarkar tumhari baaton ko
Maska hua anchal shanon pe, yeh zulf ki latt uljhi uljhi
Ankhon ki khumar kehti hai rehte ho kahin tum raaton ko
Zulfon ko hawa mein lehrana, hans hans ke tumhara bal khana
Andaz hain sab dil lene ko, hum jaan gaye in bhaaton ko
Be-dard haseenon ki khatir kyun hotay ho bad-naam Fana
Safak sitamgar kya samjhein hum dil walon ki baaton ko
No comments:
Post a Comment